udhar Maangne Ke Tarike
1- Kisi se bhi udhaar maangne se 8-10
din pehle usse khoob mel-jol badha lo.
Ek baar murgi jaal mein fas jaaye to
saare ande tumhare hain.
2- Jisse udhaar maangne ki yojna bana
rahe ho use pehle ek chhoti-moti party
de do. Aur 2-4 tareefein kar do. Fir
dekho tumhara kaam kaise banta hai.
3- Thoda sa emotional atyachar karna
behad zaroori hai. Agar emotional
atyachar safal raha to fir jitna
maangoge utna udhaar milega.
4- Udhaar hamesha 2-4 logon ke saamne
hi maanga karo. Aisa karne se udhaar
dene wala kabhi bhi udhaar dene se
mana nahi kar paayega.
5- Koshish karo ki paisa shanivaar ko
maanga jaaye, Kyunki agle din to
ravivaar hoga. Fir 2-4 din jaise
taise taal hi loge.
6- Apne kisi chacha ya tau ko beemar
batakar koi lambi chaudhi rakam ainth
lo. Uske dil ko itna pighla do ki wo
majboor ho jaye tumhe paisa dene ko.
Udhaar hi nahi, tumhe wo bhet mein hi
de de paise.
7- Wo jise sabse zyaada pyaar karta
hai uske saamne uske pair pakad lo.
Aur zor-zor se rona-dhona karke jitna
ho sake utna paisa ainth lo. Waapas
dene ki koi zaroorat nahi hogi.
8- Ek baat hamesha yaad rakho udhaar
maangkar ek-do baar time se pehle hi
udhaar chukta kar do. Phir jaise hi
udhaar dene waalon ko tum par yakeen
ho jaaye to koi bada haath maar lo