Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.
Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.
Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.
Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.
Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.
Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.
Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.
gd mrog