Kese Bataown Men Tumhe Mere Liye Tum Kown Ho,
Kese Bataown
Kese Bataown Men Tumhe
Tum Dharkano Ka Geet Ho
Jeevan Ka Tum Sangeet Ho
Tum Zindagi
Tum Bandagi
Tum Roshni
Tum Taazgi
Tum Har Khushi
Tum Pyaar Ho
Tum Preet Ho Manmeet Ho
Aankhon Mein Tum
Yaadon Men Tum
Saanson Men Tum
Aahon Men Tum
Neendon Men Tum
Khawabon Men Tum
Tum Ho Meri Har Baat Men
Tum Ho Mere Din
Raat Men
Tum Subaah Men
Tum Shaam Men
Tum Soch Men
Tum Kaam Men
Mere Liye Paana B
Tum
Mere Liye Khona B Tum
Mere Liye Hasna B Tum
Mere Liye Rona B Tum
Aur Jaagna Sona B
Tum
Kese Bataown men tumhen
Jaown Kahin Dekhoon Kahin
Tum Ho wahan, Tum Ho wahin
Kese Bataown Men Tumhe
Tum Bin To Main Kuch B Nahin
Kese Bataown Men Tumhe
Mere Liye Tum Kown Ho
Yeh Jo Tumhaara Roop He
Yeh Zindagi Ki Dhoop He
Chandan Se Tarsha He Badan
Behti He Jis Men Ek Agan
Yeh Shokhiyaan
Yeh Mastiyaan
Tumko Hawaaon Se Mili
Zulfein Ghataaon Se
Mili
Honton Mein Kaliyaan Khil Gayi
Aankhon Ko Jheele Mil Gayi
Chehre Men Simti Chaandni
Aawaaz Men He Raagini
Sheeshe K Jesa Ang He
Phoolon K Jesa Rang He
Nadiyon K Jesi Chaal
He
Kya Husn He Kya kamaal He
Yeh Jism Ki Rangeeniyaan
Jese Hazaaron Titliyaan
Baahon Ki Yeh
Golaaiyaan
Aanchal Men Yeh Parchhaaiyaan
Yeh Nagriyaan Hen Khawaab Ki
Kese Bataown Men
Tumhe Haalat Dil-E-Betaab Ki
Kese Bataown Men Tumhe
Mere Liye Tum Kown Ho
Dharam Ho Mere Liye Imaan Ho
Tum Hi Ibaadat Ho Meri
Tum Hi To Chaahat Ho Meri
Tum Hi Mera Armaan Ho
Takta Hoon Men Har Pal Jisse
Tum Hi To wo Tasveer Ho
Tum Hi Meri Taqdeer Ho
Tum Hi Sitaara Ho
Mera
Tum Hi Nazaara Ho Mera
U dhyaan Men Mere Ho Tum
Jese Mujhe Ghere Ho Tum
Purab Men Tum
Pachhim Men Tum Utar Men Tum
Dakshin Men Tum
Saare Mere Jeevan Men Tum
Har Pal Men Tum
Har Chir Men Tum
Mere Liye Rasta B Tum
Mere Liye Manzil B Tum
Mere Liye Saagar B Tum
Mere Liye Saahil B Tum
Men Dekhta Bas Tumko Hoon
Men Sochta Bas Tumko Hoon
Men Jaanta Bas Tum ko Hoon
Men Maanta Bas Tum ko Hoon
Tum Hi Meri Pehchaan Ho
Kese Bataown Men Tumhe
Devii Ho Tum Me
Jin Rahon Pe Ik Umar Tere Sath Rahy Hm
Kuch Roz Se Wo Rastey Sunsan Bohat Hen
Mil Jaow Kabhi Lout K Phir Aaown Na Shayad
Kamzor Hoon Men Raah Men Toofan Bohat Hen
Ik Tum He Nahi Meri Judai Men Pareshan Bohat
Hum B To Teri Chah Men Veeran Boht Hen
Ek Tark-E-Wafa Pe Main Tujhe Kese Bhula Doon
Mujh Par To Tere Aur B Ehsaan Bohat Hen
Bhar Aayen Na Ankhen To Ik Baat Bataoon
*SEHR*
Ab Tujh Se Bichar Janey K Imkaan Bohat Hen
*IK AAJAZ SHAAM*
Mere Jaise Ban Jao Gay,
Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Diwaron Se Takrao Gay,
Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Tanhai K Jhooly Jhoolo Gay,
Har Baat Purani Bhoolo Gay,
Aainey Se Ghabrao Gay,
Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga,
Aur Chand Kahin Kho Jaye Ga,
Tum B Ghar Dair Se Aao Gay,
Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Bechainiyan Jab Bhar Jayeingi,
AurYaad Kissi Ki Aye Gi,
Tum Meri Ghazalein Gaow Gay,
Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga……!!!!
*IK AAJAZ SHAAM*
Apni aankhon mein mere khawab rehne do,
Kuch an kahe sawalon k jawaab rahne do,
Na milo iss tarah k dharkanen ho jayain be’qabu,
Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do,
Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone,
Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do,
Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton k paani se,
Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do,
Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya dost,
Abhi nayi manzil he dono ki, purane hisaab rehne do..
*IK AAJAZ SHAAM*
Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kesi,
Taaluq toot jaye jab,
Mohabbat rooth jaye jab,
To phir rasm-e-dua kesi,
…Milan ki ilteja kesi,
Bhanwar men dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya,
Ukhartay saans hoon to
zindagi ki arzoo b kya,
Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju b kyun,
Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha he,
Tumhein kyun shairi men aaj takk aabaad rakha he,
Abhi tak man ne kyun khud ko boht barbaad rakha he,
Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha he,
Judaii dene wale aashnaii ki qasam tum ko,
Tumhari bewafai,
kaj-adaai ki qasam tum ko,
Mujhe itna bata dena,
Wafa ki chahton ki mashalein kese bhujate hen,
Nishaan kese mitaate hen,
Bhulana ho jinhen unn ko bhala kese bhulatay hen.
*IK AAJAZ SHAAM*
Main ne dekha tha un dino men ussy
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lehja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bheegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us k
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zuban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
sari ankhien thein aaina us ki
saray chahroon men intekhab tha wo
ye khawab he k wo haqeqat tha
ye haqeqat he k koi khawab tha wo
sab se ghul mil kr ajnabi rehna
ik darya numa sarab tha wo
apni neendien usi ki nazr hoein
men ne paya tha ratjagoon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
jab wo hans hans k baat karta tha
dil ke khyemy men raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
jb wo khiltey gulab jesa tha
*IK AAJAZ SHAAM*
Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon K Zaike Se Aashna Na Hoon,
Khuda Kare K Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein,
Meri Dowaon Ka Saya Rahe,
Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To
Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,
Mere Paas Tumhare Liye,
Dowaon K Kuch Phool Hen,
Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas Tumhare Liye,
Chahaton Ke Jugnu Hen,
In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna,
Mere Paas Mohabbat Ki Titli He,
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe,
Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe,
Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho,
Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna,
Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna...
*IK AAJAZ SHAAM*
Jo meri aankhon se khawab dekho
to ik b shab na so sako gey
k laakh chaho na hans sako gey
hazaar chaho na ro sako gey
k khawab kya hain azaab hain ye
…merey dukhon ki kitaab hain ye
rafaqattein inn main chouttein hain
mohabbatein inn main roothti hain
panapti hain inn main wheshattein si
aziyattein inn main phouttein hain
inhi k dar se khizaan hain jazbey
inhi se shaakhein si tootti hain
ghamon ki bandish hain khawab merey
ubal raha he dukhon ka laava
rehn-e-aatish hain khawab merey
khayal saarey jhulas gaye hain
sulagti khawish hain khawab merey
ukharti saansein hain zindigi ki
lahoo ki sazish hain khawab merey
jo meri aankhon se khawab dekho
to ik b shab na so sako gey
*IK AAJAZ SHAAM*
Tu hi haqeeqat khawab tu,
Dariya tu hi pyaas tu
Tu hi dil ki bekaraari tu sukoon tu sukoon
jaown main abb jab jis jagah
paown main tuj ko uss jagah
saath ho k na ho
Tu he rubaru rubaru
Hamsafar tu hamkadam tu hamnawa mera
Aa tujhe inn baahon mein bhar ke
Aur bhi kar loon main kareeb
Tu juda ho to lage hain aata jaata har pal ajeeb
iss jahaan mein hai aur na hoga muj sa koi khush naseeb
Tune muj ko dil diya he main hoon tere sab se kareeb
main hi to tere dil mein hoon,
main hi saanson mein basun
tere dil ki dhadkano mein main hi hoon, main hi hoon
tu hamsafar
tu hamkadam
tu hamnawa mera
kab bhala abb yeh waqt guzare kuchh pata chalata hi nahi
Jab se muj ko tu mila he hosh kuchh b apana nahi
Uff yeh teri palakein ghani si,
chhaown in ki he dilnasheen
kissy darr dhoop ka he
kyun k he ye muj pe bichhi
tere bina na saans loon
tere bina na main jion
tere bina na ek pal b reh saku,
Tu hi haqeeqat khawab tu,
dariya tu hi pyaas tu
tu hi dil ki bekaraari
tu sakoon tu sakoon
tu hamsafar
tu hamkadam
tu hamnawa mera
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
Mohabbat khud bhi hoti hai
Mohabbat khud ho jaati hai
Mohabbat khud banati hai
Mohabbat khud bhi banti hai
Mohabbat khud bhi andhi hai
Mohabbat andha karti hai
Mohabbat jhuk bhi sakti hai
Mohabbat jhuka bhi deti hai Mohabbat khud bhi nafrat hai
Mohabbat Pyaar bhi karti hai
Mohabbat Pyaar hai Dil ka
Mohabbat aisaar bhi karti hai
Mohabbat kaam hai dukh ka
Mohabbat naam hai sukh hai
Mohabbat naam hai is ka
Mohabbat is hi ko kehte hain
Mohabbat kar ke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
ik aajaz shaam
""""DUA"""
Humain Yaad Rakhiye Ga Apni Duaon Main is Tarha
Hum Rakhte Hain Aap Ko Yaad Apni Duaon Main Jis Tarha
Khuda Aap Ka Daman Kushion Se Bhar De is Tarha
Bahaar Main Shajar Phoolon Se Bhara Hota Hai Jis Tarha
Na Dukh Na Dard Ho Khushian De Khuda Aap Ko is Tarha
Samandar Pani Se Bhara Hota Hai Jis Tarha
Khuda Aap Ki Tamam Khushion Ko Poora Kare is Tarha
Chandni Raaton Main Aasman Taron Se Bhara Hota Hai Jis Tarha
miss u nazami
***A SOLDJER PAIN***
WHEN I DIE FOREVER REST
PUT MY MEDDLES ON MY CHEAST
SEND MY BODY 2 MY HOME
WHO WILL ASK TELL THOME
TELL MY FOTHER DO NOT BOW
U WOULD NOT TENTION FROM ME NOW
TELL MY MOM
DO NOT SAD
U LOVE LITTLE I WAS BAD
TELL MY BROTHER
COUNTINUSE UR STUDY
KEY OF MY BIKE NOW UR ALREADY
TELL MY SISTER
DO NOT UPSET
UR BROTHER WILL NOT RISE AFTER THIS SUNSET
AND LAST
TELL MY LOVE
DO NOT CRAY
I WAS
A SOLDJER
AND BORN FOR DIE
MAY GOD BLESS ME SHAHADAT(AMIN)
***IK AAJAZ SHAAM***
*NAZAMI JEE*
**GOOD MORNING**
***SUBAH BAKHAIR***
ہم پہ گزرے تھے رنج سارے جو خود پہ گزرے تو لوگ سمجھے
جب اپنی اپنی محبتوں کا عذاب جھیلے تو لوگ سمجھے
وہ جن درختوں کی چھاؤں میں سے مسافروں کو اٹھا دیا تھا
انہی درختوں سے اگلے موسم جو پھل نہ اترے تو لوگ سمجھے
اس ایک کچی سی عمر والی کے فلسفے کو کوئی نہ سمجھا
جب اس کے کمرے سے لاش نکلی،خطوط نکلے تو لوگ سمجھے
وہ گاؤں کا اک ضعیف دھقان سڑک کے بننے پہ کیوں خفا تھا
جب اس کے بچے جو شہر جا کر کبھی نہ لوٹے تو لوگ سمجھے۔۔۔
Suny kown qissa-a- dard-a-dil
mera gham ghusaar chala gya
jisy meri wafa ka ahsas tha
wo wafa shuaar chala gya
wohi bazam he wohi dhoom he
wohi doston ka hajoom he
he kami to bas us yar ki
jo kehin door paar chala gya.
*IK AAJAZ SHAAM* —
Cute Story
There was a girl who was playing in the park when she saw a picture in the bush. She kept the photo but forgot about it until she was married.
Her husband asked who is that little boy in her wallet. She answered "my first love"
Then the husband smiled and said "I lost that picture when i was 9 years old"
Have a nice weekend
GOOD MORNING
SUBAH BAKHAIR DOST
Nahi Jo Dil Mei Jagah to Nazar Mein Rehnay Do
Meri Hayaat ko Apny Asar Mein Rehnay Do
Koi to Khawab Meri Raat Ka Muqaddar Ho
Koi to Aaks Meri Chashm.e.Tar Mein Rehnay Do
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chorr Aaya
Tum Apni Yaad Ko Mere Hunar Mein Rehnay Do
Ye Manzilain To Kisi Aur Ka Muqaddar Hain
Mjhy Bas Apny Janoon k Safar Mein Rehnay Do
Haqiqatain To Bohat Talkh Ho Gyi Hen Dost
Mere Wajood Ko Khawabon K Ghar Mein Rehnay Do…….
***IK AAJAZ SHAAM***
Jub Yaad Ka Album KholÖn tÖ,
Kuch LÖG BÖht Yad ate Hen
Main Guzre Dino kÖ SochÖn tÖ,
Kuch LÖG BÖht Yad ate Hen
Ab Jane KisS NaGri Mai
SÖay Pare Hen Muddat Se
Main Raat Gaye tak JaGon tÖ,
Kuch LÖG BÖht Yad ate Hen
Kuch Batein theen PHolÖn Jesi
Kuch KhushbÖ Jese Lehjy thy
Main Sheher-e-Chaman Men Tehlon tÖ,
Kuch LÖG BÖht Yad ate Hen
Wo Pal Bhar ki NarazGiyan Ör
Maan B Jana Pal Bhar Men
Ab Khud Se Jab b RothÖon tÖ,
“Kuch LÖG BÖht Yad Aty Hen”
*IK AAJAZ SHAAM*
Guftago achi lagi zoq-e-nazar acha laga,
Mudaton k baad koi humsafar acha laga,
Zindagi ki bey sar-o-samaniyon k bawajood,
Aaj tum aay to mujh ko apna ghar acha laga,
Manzilon ki baat choro kis ne payein manzilain,
Ek safar acha laga ek humsfar acha laga
*IK AAJAZ SHAAM*
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Mein Btaown Kya Muje Kya Mily
Mujhe Sbr Hi Ka Sila Mily
Kisi Aag Hi Ki Rida Mily
Kisi Dard Hi Ka Sila Mily
Kisi Gham Ki Dil Mai Jaga Mily
Jo Mra Hy Wo Mujhe Aa Mily
Rhy Shad Yu Hi Mra Jahan
K Yaqen Mai Bedly Mra Guman….
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Kbhi Sooni Subha Mai Ghomna
Kbhi Ujri Shamo Ko Daikhna
Kbhi Bhegi Ankho Mai Jagna
Kbhi Beetay Lamho Ko Sochna
Mgr 1 Pal Hy UMEED Ka
Hy Mujhe KHUDA Ka Jo Aasra
Na Hi Maine Koi Gila Kya
Na Hi Maine Di Hen Duhayean
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Mai Wo Kis Tarah Se Kro Byan
Jo Kiye Gye Hen Sitam Yahan
Sunay Kon Mri Ye Dastan
Koi Humnashen Hy Na Razdan
Jo Tha Jhoot Wo Bana Sach Yahan
Nahi Kholi Maine Mgr Zuban
Ye Akaila Pan
Ye Udasiyan
Mri Zindgi Ki Hen Tarjuman
MRI ZAT ZARA E BENISHAN
*IK AAJAZ SHAAM*
Mohabbat
HUM
B kar lein gay
Ye ghalti
TUM
B kar lena
Chalo
Tum hi se kar lein gay
Kisi se
Tum b kar lena
Tumhen
Hum DOST
Kehte hen
Chalo ek
Mashwara
dein gay
MOHABBAT
Tum ne karni he
SUNO!!
HUM
Hi se kar lena.
*IK AAJAZ SHAAM*